Tuesday, 25 June 2013


Jane kaise khele jaa rhe hai khel,
Khi rhta hai sukha awr khi baad jaise khaulta hua tel.
Dekha tera ajeeb khel vidhata,
Tod hi diya apne hi ghar ka drwaza.
Paar krti thi jo logo ko ganga mahamai,
Ab vo hi apne saath bede tak baha lai.
Dosh nhi de rha tujhe mai dindayal,
Par jo bache hai unka to rakh le khayal.
Samne aa rhe hai logo ke roop anek,
Koi kisi ki kar rha h seva to kisi ko lut rhe h kuchek.
Sena ke bimar jawano ne bhi seva krne ko seena thoka,
To ish prishtithi ko bhi vipaksh awr prashashan ne,
Ek dusre par hai thopa.
Bache buddhe chila rhe hai unh prabhavit gaav me,
Ye abhi bhi lage hue hai siyashi daav me.
Ab tu hi bta kaise jiye yaha,
Niche inki maar upar tu bhi nhi kar rha daya.
Ekjut ho sab log ek dusre ki madad ke liye,
Tab manu "Shridya" mai khela hai tumne sunder khel....

Dedicated to our army and every person who involved in serving uttrakhand crisis.
Jai Jawan, Jai Insan.